Monday, August 25, 2008

Har IT ki kahani,,,

Bench pe Bench,
Bench pe Bench,
Log paglon ki tarah training mein raat raat bhar padhte rahe
Aur unhe mili toh sirf Bench !

Algorithm ka Analysis karte karte unki khudki life ban gayi ek unsolvable algorithm
Aur unhe mili toh sirf Bench !
Training ke baad proj milega,
phir appraisal hoga,
phir onsite jaoonga ..
Isi soch mein logon ne training clear kar di
Aur unhe bhi mili toh sirf Bench !
Bench par baithe baithe log khud ban gaye hai ek bench,
Phir bhi unhe mili toh sirf Bench !
Chaddha samjao ise....
Coding karne ke liye jo jigar chahiye hota hai ..
wo kisi bazaar mein nahi milta...
Coder use lekar paida hota hai....
Aur jab yeh Java ka code kisi Dotnet wale ko karna pad jata hai na,
Toh coder uthta nahi,
balki is duniya se ..
uth jaata hai............
Bazaar main aise code bahot milte hain,
lekin unko chalane k liye jo seena chahiye hota hai..
Wo ek coder lekar paida hota hai ..!